"Mehdi Hasan Gazals"

Teri Mehafil Mein Lekin Hum Na Honge


Teri Mehafil Mein Lekin Hum Na Honge
Mohabbat karane waale kam na honge
Teri mehafil mein lekin hum na honge,    

Zamaane bhar ke Ghum yaa ik tera Ghum
Ye Ghum hoga to kitane Ghum na honge,

Teri mehafil mein lekin hum na honge
Mohabbat karane waale kam na honge,

Agar tu ittafaaqan mil bhii jaaye
Terii furqat ke sadamein kam na honge

Terii mahafil mein lekin ham na honge
Mohabbat karanevaale kam na honge

Dilon ki ulajhanein badatii raheingii
Agar kuchh mashvare baaham na honge

Terii mahafil mein lekin ham na honge
Mohabbat karanevaale kam na honge


'Hafeez' un se main jitanaa bad_gumaan hun
Vo mujh se is qadar barham na honge

Terii mahafil mein lekin ham na honge
Mohabbat karanevaale kam na honge



Ranjish Hi Sahi 


Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
Aa fir se mujhe chor ke jane ke liye aa
Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa

Ranjish Hi SahiKis kis ko batayenge judai ka sabab hum
Tu mujhse khafa hai to zamane ke liye aa
Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa

Jese tumhe ate hain na ane ke bahane
Wese hi kisi roz na jane ke liye aaa
Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa

Mana ki mohabbat ka chupana hai mohabbat,
Chupke se kisi roz jatane ke liye aa….
Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa

Ab tak dile-e-khush_faham ko tujhse hai ummiidein
Ye aakhiri shamme.n bhi bhujhane ke liye aa
Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa

Kuch to mere pindar-e-mohabbat ka bharam rakh
Tu bhi to kabhi mujhko manane ke liye aa
Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa

Mujhe Tum Kabhi Bhi Bhula Na Sakoge

Mujhe tum kabhi bhi bhula na sakoge
Mujhe tum nazar se gira to rahe ho
Mujhe tum kabhi bhi bhula na sakoge
Na jaane mujhe kyoon yakin ho chala hai
Mere pyaar ko tum mitaa na sakoge

Meri yaad hogi jidhar jaaoge tum
Kabhi nagma banke kabhi aansoo
Tadapta mujhe har taraf paaoge tum
Bujhaana bhi chaaho bujha na sakoge

Kabhi naam batoin mein aaya jo mera
To bechain hoke dil thaam loge
Nigahon mein chaayega gham ka andhera
Kisi ne jo poocha sabab-a-suboon ka, bataana bhi chaahi bata na sakoge


Ik Baar Chale Aao

Ik Baar Chale Aao
Fir aake chale jaana ik baar chale aao
Surat to dhika jaao, ik baar chale aao

Tumko mere geeton ka sangeet bulata hai
Kuch geet mere sun lo kuch apne suna jaao

Jo tum bulaayen fir tum shauk se mat aana

Kisi baat pe roothe ho itna to bata jaao

Kya dil ke tadapne ka ehsaas nahin tumko
Ab jaan pe ban aayi lillah chale aao


1 comment:

  1. Nice Poetry
    http://www.pakistanirox.com/category/ahmad-faraz-poetry/

    ReplyDelete